majnūñ ne shahr chhoḌā to sahrā bhī chhoḌ de
nazzāre kī havas ho to lailā bhī chhoḌ de
vaa.iz kamāl-e-tark se miltī hai yaañ murād
duniyā jo chhoḌ dī hai to uqbā bhī chhoḌ de
taqlīd kī ravish se to behtar hai ḳhud-kushī
rasta bhī DhūñD ḳhizr kā saudā bhī chhoḌ de
mānind-e-ḳhāma terī zabāñ par hai harf-e-ġhair
begāna shai pe nāzish-e-bejā bhī chhoḌ de
lutf-e-kalām kyā jo na ho dil meñ dard-e-ishq
bismil nahīñ hai tū to taḌapnā bhī chhoḌ de
shabnam kī tarah phūloñ pe ro aur chaman se chal
is baaġh meñ qayām kā saudā bhī chhoḌ de
hai āshiqī meñ rasm alag sab se baiThnā
but-ḳhāna bhī haram bhī kalīsā bhī chhoḌ de
saudā-garī nahīñ ye ibādat ḳhudā kī hai
ai be-ḳhabar jazā kī tamannā bhī chhoḌ de
achchhā hai dil ke saath rahe pāsbān-e-aql
lekin kabhī kabhī ise tanhā bhī chhoḌ de
jiinā vo kyā jo ho nafas-e-ġhair par madār
shohrat kī zindagī kā bharosā bhī chhoḌ de
shoḳhī sī hai savāl-e-mukarrar meñ ai kalīm
shart-e-razā ye hai ki taqāzā bhī chhoḌ de
vaa.iz subūt laa.e jo mai ke javāz meñ
'iqbāl' ko ye zid hai ki piinā bhī chhoḌ de
Tags
Shayari poets